kisi ghar ka bahut nuksaan hota hai | किसी घर का बहुत नुक़सान होता है - Aijaz Asad

kisi ghar ka bahut nuksaan hota hai
to daulat-mand ka samaan hota hai

daroon-e-dil agar eimaan hota hai
to phir jeena bada aasaan hota hai

hatheli par jo sar rakhe ladai mein
usi ki jeet ka imkaan hota hai

badan ka bojh hum dhote hi rahte hain
maren to gair ka ehsaan hota hai

pate ki baat kah saka hai vo paagal
koi hushiyaar bhi anjaan hota hai

ghareebi haath par rakhti hai khaane ko
ameeron ka hi dastar-khwaan hota hai

asad aa ja ki hum ko chain aa jaaye
ye ghar tere bina sunsaan hota hai

किसी घर का बहुत नुक़सान होता है
तो दौलत-मंद का सामान होता है

दरून-ए-दिल अगर ईमान होता है
तो फिर जीना बड़ा आसान होता है

हथेली पर जो सर रक्खे लड़ाई में
उसी की जीत का इम्कान होता है

बदन का बोझ हम ढोते ही रहते हैं
मरें तो ग़ैर का एहसान होता है

पते की बात कह सकता है वो पागल
कोई हुशियार भी अंजान होता है

ग़रीबी हाथ पर रखती है खाने को
अमीरों का ही दस्तर-ख़्वान होता है

'असद' आ जा कि हम को चैन आ जाए
ये घर तेरे बिना सुनसान होता है

- Aijaz Asad
0 Likes

Jeet Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Aijaz Asad

As you were reading Shayari by Aijaz Asad

Similar Writers

our suggestion based on Aijaz Asad

Similar Moods

As you were reading Jeet Shayari Shayari