mere zehn-o-dil par jo chaaya hua hai | मिरे ज़ेहन-ओ-दिल पर जो छाया हुआ है - Aijaz Asad

mere zehn-o-dil par jo chaaya hua hai
mujhe us ne yaksar bhulaaya hua hai

har ik naqsh-e-duniya mitaaya hua hai
use main ne dil mein basaaya hua hai

bahut door mehsoos hota hai mujh ko
gale jis ko main ne lagaaya hua hai

mujhe khauf hai silvatein pad na jaayen
badan us ne apna bichaaya hua hai

tumhein dhoondhne se nahin milne waala
nishaan apna main ne mitaaya hua hai

bhatkte hain sehra mein kitne musaafir
har ik naqsh-e-paa ka safaayaa hua hai

yahi jaa-nasheen hai meri mumlikat ka
baghal mein jo baccha sulaaya hua hai

मिरे ज़ेहन-ओ-दिल पर जो छाया हुआ है
मुझे उस ने यकसर भुलाया हुआ है

हर इक नक़्श-ए-दुनिया मिटाया हुआ है
उसे मैं ने दिल में बसाया हुआ है

बहुत दूर महसूस होता है मुझ को
गले जिस को मैं ने लगाया हुआ है

मुझे ख़ौफ़ है सिलवटें पड़ न जाएँ
बदन उस ने अपना बिछाया हुआ है

तुम्हें ढूँडने से नहीं मिलने वाला
निशान अपना मैं ने मिटाया हुआ है

भटकते हैं सहरा में कितने मुसाफ़िर
हर इक नक़्श-ए-पा का सफ़ाया हुआ है

यही जा-नशीं है मिरी मुम्लिकत का
बग़ल में जो बच्चा सुलाया हुआ है

- Aijaz Asad
0 Likes

Jazbaat Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Aijaz Asad

As you were reading Shayari by Aijaz Asad

Similar Writers

our suggestion based on Aijaz Asad

Similar Moods

As you were reading Jazbaat Shayari Shayari