laazmi to nahin wali ho jaaye | लाज़मी तो नहीं वली हो जाए - Aijaz Asad

laazmi to nahin wali ho jaaye
aadmi kaash aadmi ho jaaye

kyun na badnaam-e-aashiqi ho jaaye
jab lagi dil ki dil lagi ho jaaye

roz ka tootna bikhrna kyun
jo bhi hona hai aaj hi ho jaaye

lamha lamha jiyooun tujhe jaanaan
tu agar meri zindagi ho jaaye

meri aankhen chhalakne lagti hain
gar koi dost ajnabi ho jaaye

ghar hamaara dhuaan dhuaan sa hai
khol khidki ki raushni ho jaaye

kaun ejaz par karega use
apne andar agar kami ho jaaye

लाज़मी तो नहीं वली हो जाए
आदमी काश आदमी हो जाए

क्यूँ न बदनाम-ए-आशिक़ी हो जाए
जब लगी दिल की दिल लगी हो जाए

रोज़ का टूटना बिखरना क्यूँ
जो भी होना है आज ही हो जाए

लम्हा लम्हा जियूँ तुझे जानाँ
तू अगर मेरी ज़िंदगी हो जाए

मेरी आँखें छलकने लगती हैं
गर कोई दोस्त अजनबी हो जाए

घर हमारा धुआँ धुआँ सा है
खोल खिड़की कि रौशनी हो जाए

कौन 'एजाज़' पर करेगा उसे
अपने अंदर अगर कमी हो जाए

- Aijaz Asad
0 Likes

Ujaala Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Aijaz Asad

As you were reading Shayari by Aijaz Asad

Similar Writers

our suggestion based on Aijaz Asad

Similar Moods

As you were reading Ujaala Shayari Shayari