meri tum se shanaasaai bahut hai | मिरी तुम से शनासाई बहुत है - Aijaz Asad

meri tum se shanaasaai bahut hai
magar ehsaas-e-tanhaai bahut hai

bikhar jaaun to khud hi hai simatna
ki ye duniya tamaashaai bahut hai

mujhe gharkaab ho jaane ka hai dar
saraab-e-dasht dariyaai bahut hai

chalo ab sach bhi kah kar dekhte hain
yahan shor-e-pazeeraai bahut hai

nahin wus'at tire darya-e-dil mein
magar aankhon mein gehraai bahut hai

yahan se kooch karna hi padega
tire kooche mein ruswaai bahut hai

asad mushkil se ghabraata nahin hoon
dimaagh-o-dil mein yaktaai bahut hai

मिरी तुम से शनासाई बहुत है
मगर एहसास-ए-तन्हाई बहुत है

बिखर जाऊँ तो ख़ुद ही है सिमटना
कि ये दुनिया तमाशाई बहुत है

मुझे ग़र्क़ाब हो जाने का है डर
सराब-ए-दश्त दरियाई बहुत है

चलो अब सच भी कह कर देखते हैं
यहाँ शोर-ए-पज़ीराई बहुत है

नहीं वुसअत तिरे दरिया-ए-दिल में
मगर आँखों में गहराई बहुत है

यहाँ से कूच करना ही पड़ेगा
तिरे कूचे में रुस्वाई बहुत है

'असद' मुश्किल से घबराता नहीं हूँ
दिमाग़-ओ-दिल में यकताई बहुत है

- Aijaz Asad
0 Likes

Sach Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Aijaz Asad

As you were reading Shayari by Aijaz Asad

Similar Writers

our suggestion based on Aijaz Asad

Similar Moods

As you were reading Sach Shayari Shayari