duniya mein kise aag lagaani nahin aati | दुनिया में किसे आग लगानी नहीं आती - Aijaz Asad

duniya mein kise aag lagaani nahin aati
afsos magar sab ko bujhaani nahin aati

taa-hadd-e-nazar dasht hai kyun baithe hue ho
lagta hai tumhein khaak udaani nahin aati

vo shokh hai baaton mein laga rehta hai akshar
sunta hoon mujhe baat banaani nahin aati

bistar ki zaroorat hi nahin neend ko pyaare
kya jism ki chadar hi bichaani nahin aati

bujhti hi nahin aag lagi hai jo jigar mein
lekin mere ashkon mein rawaani nahin aati

khushboo se mehkati hi nahin raat hamaari
khwaabon mein agar raat ki raani nahin aati

naadaan meri mez ke sheeshe pe gire hain
ashkon ko bhi tasveer banaani nahin aati

main khud bhi khilauno ka taraf-daar rahoonga
jab tak mere bacchon pe jawaani nahin aati

main sirf haqeeqat hi bayaan karta hoon ejaz
afsaana nahin aata kahaani nahin aati

दुनिया में किसे आग लगानी नहीं आती
अफ़्सोस मगर सब को बुझानी नहीं आती

ता-हद्द-ए-नज़र दश्त है क्यूँ बैठे हुए हो
लगता है तुम्हें ख़ाक उड़ानी नहीं आती

वो शोख़ है बातों में लगा रहता है अक्सर
सुनता हूँ मुझे बात बनानी नहीं आती

बिस्तर की ज़रूरत ही नहीं नींद को प्यारे
क्या जिस्म की चादर ही बिछानी नहीं आती

बुझती ही नहीं आग लगी है जो जिगर में
लेकिन मिरे अश्कों में रवानी नहीं आती

ख़ुश्बू से महकती ही नहीं रात हमारी
ख़्वाबों में अगर रात की रानी नहीं आती

नादान मिरी मेज़ के शीशे पे गिरे हैं
अश्कों को भी तस्वीर बनानी नहीं आती

मैं ख़ुद भी खिलौनों का तरफ़-दार रहूँगा
जब तक मिरे बच्चों पे जवानी नहीं आती

मैं सिर्फ़ हक़ीक़त ही बयाँ करता हूँ 'एजाज़'
अफ़्साना नहीं आता कहानी नहीं आती

- Aijaz Asad
0 Likes

Baaten Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Aijaz Asad

As you were reading Shayari by Aijaz Asad

Similar Writers

our suggestion based on Aijaz Asad

Similar Moods

As you were reading Baaten Shayari Shayari