wahi hain qatl-o-gharat aur wahi kohraam hai saaqi | वही हैं क़त्ल-ओ-ग़ारत और वही कोहराम है साक़ी - Ajay Sahaab

wahi hain qatl-o-gharat aur wahi kohraam hai saaqi
tamaddun aur mazhab ki ye khooni shaam hai saaqi

kamaal-e-fan mera ab tak nihaan hai aise duniya se
ki jyuun abdulhaai mein ik alif gumnaam hai saaqi

meri gang-o-jamn tahzeeb ki dukhtar hai ye urdu
ise muslim banaane ki ye saazish aam hai saaqi

karenge amn ki baatein dilon mein bugz rakkhenge
yahi rasm-e-jahaan aur fitrat-e-aqwaam hai saaqi

qad-e-shaair ke badle dekhiye meyaar sher'on ka
faqat itna meri ghazalon ka ye paighaam hai saaqi

arooz-o-ilm ki ta'leem mujh ko kab rahi haasil
mera ustaad to bas ye gham-e-ayyaam hai saaqi

wahi ghalib hai ab to jo khareede shohraten apni
rubaai bechne waala umar-khayyaam hai saaqi

ye ghazlein ghaib se naazil nahin ashkon ka haasil hain
mera ye dard hi sab se bada ilhaam hai saaqi

वही हैं क़त्ल-ओ-ग़ारत और वही कोहराम है साक़ी
तमद्दुन और मज़हब की ये ख़ूनी शाम है साक़ी

कमाल-ए-फ़न मिरा अब तक निहाँ है ऐसे दुनिया से
कि ज्यूँ अब्दुलहई में इक अलिफ़ गुमनाम है साक़ी

मेरी गंग-ओ-जमन तहज़ीब की दुख़्तर है ये उर्दू
इसे मुस्लिम बनाने की ये साज़िश आम है साक़ी

करेंगे अम्न की बातें दिलों में बुग़्ज़ रक्खेंगे
यही रस्म-ए-जहाँ और फ़ितरत-ए-अक़वाम है साक़ी

क़द-ए-शाइर के बदले देखिए मेयार शे'रों का
फ़क़त इतना मिरी ग़ज़लों का ये पैग़ाम है साक़ी

अरूज़-ओ-इल्म की ता'लीम मुझ को कब रही हासिल
मिरा उस्ताद तो बस ये ग़म-ए-अय्याम है साक़ी

वही ग़ालिब है अब तो जो ख़रीदे शोहरतें अपनी
रुबाई बेचने वाला उमर-'ख़य्याम' है साक़ी

ये ग़ज़लें ग़ैब से नाज़िल नहीं अश्कों का हासिल हैं
मिरा ये दर्द ही सब से बड़ा इल्हाम है साक़ी

- Ajay Sahaab
0 Likes

Urdu Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Ajay Sahaab

As you were reading Shayari by Ajay Sahaab

Similar Writers

our suggestion based on Ajay Sahaab

Similar Moods

As you were reading Urdu Shayari Shayari