vo jo phool the tiri yaad ke tah-e-dast-e-khaar chale gaye | वो जो फूल थे तिरी याद के तह-ए-दस्त-ए-ख़ार चले गए - Ajay Sahaab

vo jo phool the tiri yaad ke tah-e-dast-e-khaar chale gaye
tire shehar mein bhi sukoon hai tire be-qaraar chale gaye

na vo ashk ab na vo aable na vo cheekhti hui dhadkanein
meri zaat se tire dard ke sabhi ishtehaar chale gaye

na vo yaad hai na vo hijr hai na nigaah-e-naaz ka zikr hai
mere zehan se tiri fikr ke sabhi rozgaar chale gaye

the vo fitratan hi shaheed-khoo unhen qaatilon se bhi pyaar tha
kabhi maqtalon mein kate the vo kabhi su-e-daar chale gaye

na badan bacha na lahu bacha na to jism ka koi moo bacha
koi ja ke kah de ye dard se vo tire shikaar chale gaye

yun abas kisi ko sada na do dil-e-zaar ko ye bata bhi do
kabhi ab na aayenge laut kar vo jo ek baar chale gaye

unhen kya lalak tire faiz ki unhen kya talab tire vasl ki
jo mizaaj le ke faqeer ka sar-e-koo-e-yaar chale gaye

hai ye sach ki mausam-e-hijr mein mera khaar khaar badan hua
kabhi yaad tujh ko jo kar liya to badan ke khaar chale gaye

na khushi mein ab vo suroor hai na to dard mein vo nasha raha
lo sahaab baada-e-ishq ke vo sabhi khumaar chale gaye

वो जो फूल थे तिरी याद के तह-ए-दस्त-ए-ख़ार चले गए
तिरे शहर में भी सुकून है तिरे बे-क़रार चले गए

न वो अश्क अब न वो आबले न वो चीख़ती हुई धड़कनें
मिरी ज़ात से तिरे दर्द के सभी इश्तिहार चले गए

न वो याद है न वो हिज्र है न निगाह-ए-नाज़ का ज़िक्र है
मिरे ज़ेहन से तिरी फ़िक्र के सभी रोज़गार चले गए

थे वो फ़ितरतन ही शहीद-ख़ू उन्हें क़ातिलों से भी प्यार था
कभी मक़्तलों में कटे थे वो कभी सू-ए-दार चले गए

न बदन बचा न लहू बचा न तो जिस्म का कोई मू बचा
कोई जा के कह दे ये दर्द से वो तिरे शिकार चले गए

यूँ अबस किसी को सदा न दो दिल-ए-ज़ार को ये बता भी दो
कभी अब न आएँगे लौट कर वो जो एक बार चले गए

उन्हें क्या ललक तिरे फ़ैज़ की उन्हें क्या तलब तिरे वस्ल की
जो मिज़ाज ले के फ़क़ीर का सर-ए-कू-ए-यार चले गए

है ये सच कि मौसम-ए-हिज्र में मिरा ख़ार ख़ार बदन हुआ
कभी याद तुझ को जो कर लिया तो बदन के ख़ार चले गए

न ख़ुशी में अब वो सुरूर है न तो दर्द में वो नशा रहा
लो 'सहाब' बादा-ए-इश्क़ के वो सभी ख़ुमार चले गए

- Ajay Sahaab
0 Likes

Gham Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Ajay Sahaab

As you were reading Shayari by Ajay Sahaab

Similar Writers

our suggestion based on Ajay Sahaab

Similar Moods

As you were reading Gham Shayari Shayari