suna ke apne aish-e-taam ki roodaad ke tukde | सुना के अपने ऐश-ए-ताम की रूदाद के टुकड़े

  - Akhtar Ansari

suna ke apne aish-e-taam ki roodaad ke tukde
uda doonga kisi din charkh ki bedaad ke tukde

aseeri ko ata kar ke aseeri ka sharf ham ne
uda dale khud apni fitrat-e-aazaad ke tukde

kahaan ka aadmi insaan kaisa ma-hasal ye hai
kahi ashkhaas ke purze kahi afraad ke tukde

tabaahi ke mazon se bhi gaye ab waaye-mahroomi
sametunga kahaan tak hasrat-e-barbaad ke tukde

ye seena talkh yaadon ka khazeena hi sahi lekin
bahut chubhte hain dil mein ik nukeeli yaad ke tukde

tum achhe hi sahi mera bura hona bhi hai bar-haq
ki ham sab hain kisi majmooa-e-azdaad ke tukde

hamein lakht-e-jigar khaane ko hargiz kam na tha akhtar
magar qismat mein likkhe the jahaanaabaad ke tukde

सुना के अपने ऐश-ए-ताम की रूदाद के टुकड़े
उड़ा दूँगा किसी दिन चर्ख़ की बेदाद के टुकड़े

असीरी को अता कर के असीरी का शरफ़ हम ने
उड़ा डाले ख़ुद अपनी फ़ितरत-ए-आज़ाद के टुकड़े

कहाँ का आदमी इंसान कैसा मा-हसल ये है
कहीं अश्ख़ास के पुर्ज़े कहीं अफ़राद के टुकड़े

तबाही के मज़ों से भी गए अब वाए-महरूमी
समेटूंगा कहाँ तक हसरत-ए-बर्बाद के टुकड़े

ये सीना तल्ख़ यादों का ख़ज़ीना ही सही लेकिन
बहुत चुभते हैं दिल में इक नुकीली याद के टुकड़े

तुम अच्छे ही सही मेरा बुरा होना भी है बर-हक़
कि हम सब हैं किसी मजमूअ-ए-अज़दाद के टुकड़े

हमें लख़्त-ए-जिगर खाने को हरगिज़ कम न था 'अख़्तर'
मगर क़िस्मत में लिक्खे थे जहानाबाद के टुकड़े

  - Akhtar Ansari

Insaan Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Akhtar Ansari

As you were reading Shayari by Akhtar Ansari

Similar Writers

our suggestion based on Akhtar Ansari

Similar Moods

As you were reading Insaan Shayari Shayari