ye vo yaqeen hai jo uljhe yaqeen se nikla hai | ये वो यक़ीं है जो उलझे यक़ीं से निकला है - Akhtar Azmi

ye vo yaqeen hai jo uljhe yaqeen se nikla hai
hamaari haan ka ye dhaaga nahin se nikla hai

ye dil hai sab se bada bheek maangne waala
p zindagi ka khazana yahin se nikla hai

tire liye jo yaqeen dil mein aa gaya tha mere
vo saanp ban ke meri aasteen se nikla hai

falak ki chaah mein jhoota yaqeen zaroori hai
ye maan lo ki sitaara zameen se nikla hai

jahaan main doob gaya aur doobta hi gaya
samundron ka samundar wahin se nikla hai

mujhe panaah mere dil-nasheen ne di hai sada
mera makaan mere hi makeen se nikla hai

ye khaar-e-ishq hai akhtar maza hi deta hai
agar chubha to kahaan ye kahi se nikla hai

ये वो यक़ीं है जो उलझे यक़ीं से निकला है
हमारी हाँ का ये धागा नहीं से निकला है

ये दिल है सब से बड़ा भीक माँगने वाला
प ज़िंदगी का ख़ज़ाना यहीं से निकला है

तिरे लिए जो यक़ीं दिल में आ गया था मिरे
वो साँप बन के मिरी आस्तीं से निकला है

फ़लक की चाह में झूटा यक़ीं ज़रूरी है
ये मान लो कि सितारा ज़मीं से निकला है

जहाँ मैं डूब गया और डूबता ही गया
समुंदरों का समुंदर वहीं से निकला है

मुझे पनाह मिरे दिल-नशीं ने दी है सदा
मिरा मकान मिरे ही मकीं से निकला है

ये ख़ार-ए-इश्क़ है 'अख़्तर' मज़ा ही देता है
अगर चुभा तो कहाँ ये कहीं से निकला है

- Akhtar Azmi
1 Like

Duniya Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Akhtar Azmi

As you were reading Shayari by Akhtar Azmi

Similar Writers

our suggestion based on Akhtar Azmi

Similar Moods

As you were reading Duniya Shayari Shayari