fenk kar saare khwaab paani mein | फेंक कर सारे ख़्वाब पानी में - Akhtar Azmi

fenk kar saare khwaab paani mein
dekhta hoon saraab paani mein

vasl ke baad yun laga jaise
ho mera iztiraab paani mein

us ne phir fenk di baghair parhe
mere dil ki kitaab paani mein

koi is mein mila gaya paani
fenk do ye sharaab paani mein

shaam ko le ke tere lab ki shafaq
aa gaya aftaab paani mein

be-qaraari se bahar ki akhtar
aa gaya inqilaab paani mein

फेंक कर सारे ख़्वाब पानी में
देखता हूँ सराब पानी में

वस्ल के बाद यूँ लगा जैसे
हो मिरा इज़्तिराब पानी में

उस ने फिर फेंक दी बग़ैर पढ़े
मेरे दिल की किताब पानी में

कोई इस में मिला गया पानी
फेंक दो ये शराब पानी में

शाम को ले के तेरे लब की शफ़क़
आ गया आफ़्ताब पानी में

बे-क़रारी से बहर की 'अख़्तर'
आ गया इंक़लाब पानी में

- Akhtar Azmi
0 Likes

Environment Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Akhtar Azmi

As you were reading Shayari by Akhtar Azmi

Similar Writers

our suggestion based on Akhtar Azmi

Similar Moods

As you were reading Environment Shayari Shayari