jahaan-e-reg tira aab dekhne ke liye | जहान-ए-रेग तिरा आब देखने के लिए - Akhtar Azmi

jahaan-e-reg tira aab dekhne ke liye
mili hai aankh mujhe khwaab dekhne ke liye

gahan laga de agar zulf se tu chehre par
main aankh phod luun mahtaab dekhne ke liye

ye kya sitam hai ki aata hoon ek sehra se
zara si ghaas ko shaadaab dekhne ke liye

uthe the shauq se apna hi chain kho baithe
vo mere haal ko betaab dekhne ke liye

lahu kiya hai jo paani to ab falah meri
chali hai jhoom ke taalaab dekhne ke liye

zara sa aur thehar ja to par lagega tira
to hum bhi aayenge surkhaab dekhne ke liye

pakad mein aa gaya ehsaas chhup ke aaya tha
ghamon ki jheel mein sailaab dekhne ke liye

tujhe parakh hi nahin hai main ek akhtar hoon
to phir taras tu mera khwaab dekhne ke liye

जहान-ए-रेग तिरा आब देखने के लिए
मिली है आँख मुझे ख़्वाब देखने के लिए

गहन लगा दे अगर ज़ुल्फ़ से तू चेहरे पर
मैं आँख फोड़ लूँ महताब देखने के लिए

ये क्या सितम है कि आता हूँ एक सहरा से
ज़रा सी घास को शादाब देखने के लिए

उठे थे शौक़ से अपना ही चैन खो बैठे
वो मेरे हाल को बेताब देखने के लिए

लहू किया है जो पानी तो अब फ़लाह मिरी
चली है झूम के तालाब देखने के लिए

ज़रा सा और ठहर जा तो पर लगेगा तिरा
तो हम भी आएँगे सुरख़ाब देखने के लिए

पकड़ में आ गया एहसास छुप के आया था
ग़मों की झील में सैलाब देखने के लिए

तुझे परख ही नहीं है मैं एक 'अख़्तर' हूँ
तो फिर तरस तू मिरा ख़्वाब देखने के लिए

- Akhtar Azmi
1 Like

Zulm Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Akhtar Azmi

As you were reading Shayari by Akhtar Azmi

Similar Writers

our suggestion based on Akhtar Azmi

Similar Moods

As you were reading Zulm Shayari Shayari