phirse rishta nibha sakte ho
chaaho gar to manaa sakte ho
ab to iski aadat si hai
tum bhi chhod ke ja sakte ho
khaab ki jismein ham aur tum the
sach kar ke dikhla sakte ho
maine tumse kab ye kaha tha
taare tod ke la sakte ho
lafz wahi izhaar-e-wafa ka
phir se kya dohraa sakte ho
ambar tum se kuchh nahin hoga
bas baatein hi bana sakte ho
फिरसे रिश्ता निभा सकते हो
चाहो गर तो मना सकते हो
अब तो इसकी आदत सी है
तुम भी छोड़ के जा सकते हो
ख़ाब कि जिसमें हम और तुम थे
सच कर के दिखला सकते हो
मैंने तुमसे कब ये कहा था
तारे तोड़ के ला सकते हो
लफ्ज़ वही इज़हार-ए-वफ़ा का
फिर से क्या दोहरा सकते हो
'अम्बर' तुम से कुछ नहीं होगा
बस बातें ही बना सकते हो
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Ambar
our suggestion based on Ambar
As you were reading Bahan Shayari Shayari