khusha-naseeb haqeeqat ye dil ne maani hai
hayaat ham ko bataani nahin banaani hai
rakhe bhi koi to kyunkar ta'alluq-e-khaatir
main ik jazeera mere ird-gird paani hai
ye kya ki raai ka parbat bana diya tum ne
hamaara dil to hawadis ki raajdhaani hai
hamaari peeth mein khanjar utaarne waale
sitam ki tarz badal de bahut puraani hai
bahut se ahl-e-zabaan be-zabaan jaise hain
bahut se goongon ko zo'm-e-zabaan-daani hai
ameen'-e-sozish-e-ishq-e-habeeb hain dono
ai sham'a teri meri ek hi kahaani hai
ख़ुशा-नसीब हक़ीक़त ये दिल ने मानी है
हयात हम को बतानी नहीं बनानी है
रखे भी कोई तो क्यूँकर तअल्लुक़-ए-ख़ातिर
मैं इक जज़ीरा मिरे इर्द-गिर्द पानी है
ये क्या कि राई का पर्बत बना दिया तुम ने
हमारा दिल तो हवादिस की राजधानी है
हमारी पीठ में ख़ंजर उतारने वाले
सितम की तर्ज़ बदल दे बहुत पुरानी है
बहुत से अहल-ए-ज़बाँ बे-ज़बान जैसे हैं
बहुत से गूँगों को ज़ो'म-ए-ज़बान-दानी है
'अमीन'-ए-सोज़िश-ए-इश्क़-ए-हबीब हैं दोनों
ऐ शम्अ' तेरी मिरी एक ही कहानी है
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Ameen Inamdar
our suggestion based on Ameen Inamdar
As you were reading Zulm Shayari Shayari