kisi kisi pe khuda meherbaan ziyaada hai
vo jaanta hai zaroorat kahaan ziyaada hai
zabaan se poochiye mat haath dekhiye rakh kar
badan mein dard kahaan kam kahaan ziyaada hai
charaagh-e-umr ki lau ne dila diya ehsaas
ki is mein raushni kam hai dhuaan ziyaada hai
meri suno to kudoorat ka khel mat khelo
ki is mein sood bahut kam ziyaan ziyaada hai
na kijeye baat farishton se talkh lehje mein
gali mein shor jo waqt-e-azaan ziyaada hai
mukaable ka andheron se hausla hai to phir
zara sa noor bhi jugnoo miyaan ziyaada hai
azal se dono mein rishta atoot hai to ameen
hayaat maut se kyun bad-gumaan ziyaada hai
किसी किसी पे ख़ुदा मेहरबाँ ज़ियादा है
वो जानता है ज़रूरत कहाँ ज़ियादा है
ज़बाँ से पूछिए मत हाथ देखिए रख कर
बदन में दर्द कहाँ कम कहाँ ज़ियादा है
चराग़-ए-उम्र की लौ ने दिला दिया एहसास
कि इस में रौशनी कम है धुआँ ज़ियादा है
मिरी सुनो तो कुदूरत का खेल मत खेलो
कि इस में सूद बहुत कम ज़ियाँ ज़ियादा है
न कीजे बात फ़रिश्तों से तल्ख़ लहजे में
गली में शोर जो वक़्त-ए-अज़ाँ ज़ियादा है
मुक़ाबले का अँधेरों से हौसला है तो फिर
ज़रा सा नूर भी जुगनू मियाँ ज़ियादा है
अज़ल से दोनों में रिश्ता अटूट है तो 'अमीन'
हयात मौत से क्यों बद-गुमाँ ज़ियादा है
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Ameen Inamdar
our suggestion based on Ameen Inamdar
As you were reading Raushni Shayari Shayari