saaf dil aur nazar paak liye firte hain
muflisi mein bhi ye imlaak liye firte hain
deejie daad ki is daur-e-pur-aashob mein ham
be-khatr lehja-e-bebaak liye firte hain
ham ne har haal mein jeene ka hunar seekh liya
aap kyun deeda-e-namunaak liye firte hain
khush-libaasi hai faqat laayeq-e-taazeem yahan
aur ham daaman-e-sad-chaak liye firte hain
aashiyanoon ki sukoonat ke maze lootenge
jo parinde khas-o-khaashaak liye firte hain
ham ki afsos-sad-afsos man-o-too ke aseer
vo ki mansoobe khatarnaak liye firte hain
bas maqaamaat-e-muqaddas ki ziyaarat ho naseeb
ham ye hasrat shah-e-laulaak liye firte hain
साफ़ दिल और नज़र पाक लिए फिरते हैं
मुफ़्लिसी में भी ये इम्लाक लिए फिरते हैं
दीजिए दाद कि इस दौर-ए-पुर-आशोब में हम
बे-ख़तर लहजा-ए-बेबाक लिए फिरते हैं
हम ने हर हाल में जीने का हुनर सीख लिया
आप क्यों दीदा-ए-नमनाक लिए फिरते हैं
ख़ुश-लिबासी है फ़क़त लाएक़-ए-ताज़ीम यहाँ
और हम दामन-ए-सद-चाक लिए फिरते हैं
आशियानों की सुकूनत के मज़े लूटेंगे
जो परिंदे ख़स-ओ-ख़ाशाक लिए फिरते हैं
हम कि अफ़्सोस-सद-अफ़्सोस मन-ओ-तू के असीर
वो कि मंसूबे ख़तरनाक लिए फिरते हैं
बस मक़ामात-ए-मुक़द्दस की ज़ियारत हो नसीब
हम ये हसरत शह-ए-लौलाक लिए फिरते हैं
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Ameen Inamdar
our suggestion based on Ameen Inamdar
As you were reading Aankhein Shayari Shayari