badan ke lukma-e-tar ko haraam kar liya hai | बदन के लुक़्मा-ए-तर को हराम कर लिया है

  - Amir Hamza Saqib

badan ke lukma-e-tar ko haraam kar liya hai
ki khwaan-e-rooh pe jab se taam kar liya hai

batao udti hai bazaar-e-jaan mein khaak bahut
batao kya hamein apna ghulaam kar liya hai

ye aastaana-e-hasrat hai ham bhi jaante hain
diya jala diya hai aur salaam kar liya hai

makaan ujaad tha aur la-makaan ki khwaahish thi
so apne aap se baahar qayaam kar liya hai

bas ab tamaam ho ye vaham o e'tibaar ka khel
bisaat ult di sabhi saara kaam kar liya hai

kisi se khwaahish-e-guftaar thi magar saaqib
wufoor-e-shauq mein khud se kalaam kar liya hai

बदन के लुक़्मा-ए-तर को हराम कर लिया है
कि ख़्वान-ए-रूह पे जब से तआम कर लिया है

बताओ उड़ती है बाज़ार-ए-जाँ में ख़ाक बहुत
बताओ क्या हमें अपना ग़ुलाम कर लिया है

ये आस्ताना-ए-हसरत है हम भी जानते हैं
दिया जला दिया है और सलाम कर लिया है

मकाँ उजाड़ था और ला-मकाँ की ख़्वाहिश थी
सो अपने आप से बाहर क़याम कर लिया है

बस अब तमाम हो ये वहम ओ ए'तिबार का खेल
बिसात उलट दी सभी सारा काम कर लिया है

किसी से ख़्वाहिश-ए-गुफ़्तार थी मगर 'साक़िब'
वुफ़ूर-ए-शौक़ में ख़ुद से कलाम कर लिया है

  - Amir Hamza Saqib

Shama Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Amir Hamza Saqib

As you were reading Shayari by Amir Hamza Saqib

Similar Writers

our suggestion based on Amir Hamza Saqib

Similar Moods

As you were reading Shama Shayari Shayari