dekh kar ham ko aseer-e-aarzoo
aur bhi vo ho gaye begaana-khoo
faad daala dast-e-vahshat ne jise
phir karein kya is garebaan ka rafu
phir sajaao mahfil-e-daar-o-rasan
muztarib hai phir zabaan-e-guftugu
gar ziyaada se ziyaada hon gunah
kam nahin hai aayat-e-la-taqnatu
mujh ko dar lagta hai apne shehar mein
hain bahut unche yahan ke kaakh-o-koo
jab bhi rut aati hai patjhad ki yahan
chus leti hai bahaaron ka lahu
rah ke najmi ne pas-e-parda yahan
kar diya hai sab ko mahv-e-justuju
देख कर हम को असीर-ए-आरज़ू
और भी वो हो गए बेगाना-ख़ू
फाड़ डाला दस्त-ए-वहशत ने जिसे
फिर करें क्या इस गरेबाँ का रफ़ू
फिर सजाओ महफ़िल-ए-दार-ओ-रसन
मुज़्तरिब है फिर ज़बान-ए-गुफ़्तुगू
गर ज़ियादा से ज़ियादा हों गुनह
कम नहीं है आयत-ए-ला-तक़नतू
मुझ को डर लगता है अपने शहर में
हैं बहुत ऊँचे यहाँ के काख़-ओ-कू
जब भी रुत आती है पतझड़ की यहाँ
चूस लेती है बहारों का लहू
रह के 'नजमी' ने पस-ए-पर्दा यहाँ
कर दिया है सब को महव-ए-जुस्तुजू
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Amjad Najmi
our suggestion based on Amjad Najmi
As you were reading Terrorism Shayari Shayari