hawa se rabt zara soch kar banaana tha | हवा से रब्त ज़रा सोच कर बनाना था

  - Babar Ali Asad

hawa se rabt zara soch kar banaana tha
hamein zameen pe utarna tha ghar banaana tha

khushi banaani thi pehle kisi ta'alluq ki
phir is khushi ko bachaane ka dar banaana tha

hamaari aankh ko ab tak samajh nahin aayi
ki pehle ashk ya pehle kohar banaana tha

are ye ishq bhi to manchale ka sauda hai
hamaare bas mein jo hota kidhar banaana tha

hawa to roz sunaati thi dhoop rozan se
magar hamein yahan suraj sa dar banaana tha

suno ye aib kisi rang se nahin chhupne
bas ek hal tha hamein tod kar banaana tha

mua'af karna tujhe khul ke likh nahin paaye
hamein ye qissa zara mukhtasar banaana tha

हवा से रब्त ज़रा सोच कर बनाना था
हमें ज़मीं पे उतरना था घर बनाना था

ख़ुशी बनानी थी पहले किसी तअ'ल्लुक़ की
फिर इस ख़ुशी को बचाने का डर बनाना था

हमारी आँख को अब तक समझ नहीं आई
कि पहले अश्क या पहले कोहर बनाना था

अरे ये इश्क़ भी तो मनचले का सौदा है
हमारे बस में जो होता किधर बनाना था

हवा तो रोज़ सुनाती थी धूप रौज़न से
मगर हमें यहाँ सूरज सा दर बनाना था

सुनो ये ऐब किसी रंग से नहीं छुपने
बस एक हल था हमें तोड़ कर बनाना था

मुआ'फ़ करना तुझे खुल के लिख नहीं पाए
हमें ये क़िस्सा ज़रा मुख़्तसर बनाना था

  - Babar Ali Asad

Sooraj Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Babar Ali Asad

As you were reading Shayari by Babar Ali Asad

Similar Writers

our suggestion based on Babar Ali Asad

Similar Moods

As you were reading Sooraj Shayari Shayari