tum apne saath meri chashm-e-tar bhi le jaao | तुम अपने साथ मिरी चश्म-ए-तर भी ले जाओ

  - Badar Shamsi

tum apne saath meri chashm-e-tar bhi le jaao
safar taveel hai ik hum-safar bhi le jaao

nazar mein raunaq-e-deewaar-o-dar bhi le jaao
ye kya ki dasht-navardi mein ghar bhi le jaao

in aandhiyon mein bharosa hi kya charaagon ka
saja ke apni hatheli pe sar bhi le jaao

tum apni raat sajaao naye ujaalon se
hamaara kya hai hamaara sehar bhi le jaao

milenge zakham bahut zindagi ke mele mein
tum apne saath hamaara jigar bhi le jaao

main ek raah ka patthar sahi magar logo
kabhi mujhe kisi aazar ke ghar bhi le jaao

tumhaare haath ki khushboo zaroor mehkegi
hamaari khaak se koi sharar bhi le jaao

main zindagi ke andheron ka dard sah loonga
tum apni yaad ke shams-o-qamar bhi le jaao

main badr khud hi maseeha hoon apne zakhamon ka
ye jurm hai to mujhe daar par bhi le jaao

तुम अपने साथ मिरी चश्म-ए-तर भी ले जाओ
सफ़र तवील है इक हम-सफ़र भी ले जाओ

नज़र में रौनक़-ए-दीवार-ओ-दर भी ले जाओ
ये क्या कि दश्त-नवर्दी में घर भी ले जाओ

इन आंधियों में भरोसा ही क्या चराग़ों का
सजा के अपनी हथेली पे सर भी ले जाओ

तुम अपनी रात सजाओ नए उजालों से
हमारा क्या है हमारा सहर भी ले जाओ

मिलेंगे ज़ख़्म बहुत ज़िंदगी के मेले में
तुम अपने साथ हमारा जिगर भी ले जाओ

मैं एक राह का पत्थर सही मगर लोगो
कभी मुझे किसी आज़र के घर भी ले जाओ

तुम्हारे हाथ की ख़ुशबू ज़रूर महकेगी
हमारी ख़ाक से कोई शरर भी ले जाओ

मैं ज़िंदगी के अँधेरों का दर्द सह लूँगा
तुम अपनी याद के शम्स-ओ-क़मर भी ले जाओ

मैं 'बद्र' ख़ुद ही मसीहा हूँ अपने ज़ख़्मों का
ये जुर्म है तो मुझे दार पर भी ले जाओ

  - Badar Shamsi

Travel Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Badar Shamsi

As you were reading Shayari by Badar Shamsi

Similar Writers

our suggestion based on Badar Shamsi

Similar Moods

As you were reading Travel Shayari Shayari