ab un ka gham bhi hamein dil-kusha sa lagta hai | अब उन का ग़म भी हमें दिल-कुशा सा लगता है

  - Badar Shamsi

ab un ka gham bhi hamein dil-kusha sa lagta hai
ye ajnabi to hamein aashna sa lagta hai

fareb-khurda-e-rasm-e-wafa sa lagta hai
ye zakhm-e-dil ki jo hansta hua sa lagta hai

khud apne dil se tarasha hai jo sanam main ne
khuda nahin hai vo lekin khuda sa lagta hai

mila hai jis ko meri bandagi ka husn-e-khuloos
vo naqsh-e-sajda tire naqsh-e-paa sa lagta hai

kabhi kabhi tiri yaadon ki anjuman mein ye dil
khud apne aap se rootha hua sa lagta hai

rukh-e-hayaat ye halka sa ik tabassum bhi
gham-e-hayaat ka maara hua sa lagta hai

badal gai hai ye kis ki nazar khuda jaane
rukh-e-hayaat badalta hua sa lagta hai

ye daag-e-dil hain ki ai badr hasraton ke sanam
khuda ka ghar hai magar but-kada sa lagta hai

अब उन का ग़म भी हमें दिल-कुशा सा लगता है
ये अजनबी तो हमें आश्ना सा लगता है

फ़रेब-ख़ुर्दा-ए-रस्म-ए-वफ़ा सा लगता है
ये ज़ख़्म-ए-दिल कि जो हँसता हुआ सा लगता है

ख़ुद अपने दिल से तराशा है जो सनम मैं ने
ख़ुदा नहीं है वो लेकिन ख़ुदा सा लगता है

मिला है जिस को मिरी बंदगी का हुस्न-ए-ख़ुलूस
वो नक़्श-ए-सज्दा तिरे नक़्श-ए-पा सा लगता है

कभी कभी तिरी यादों की अंजुमन में ये दिल
ख़ुद अपने आप से रूठा हुआ सा लगता है

रुख़-ए-हयात ये हल्का सा इक तबस्सुम भी
ग़म-ए-हयात का मारा हुआ सा लगता है

बदल गई है ये किस की नज़र ख़ुदा जाने
रुख़-ए-हयात बदलता हुआ सा लगता है

ये दाग़-ए-दिल हैं कि ऐ 'बद्र' हसरतों के सनम
ख़ुदा का घर है मगर बुत-कदा सा लगता है

  - Badar Shamsi

Ghar Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Badar Shamsi

As you were reading Shayari by Badar Shamsi

Similar Writers

our suggestion based on Badar Shamsi

Similar Moods

As you were reading Ghar Shayari Shayari