main charaagh-e-shab-e-hasti hoon ziya kya maanguun | मैं चराग़-ए-शब-ए-हस्ती हूँ ज़िया क्या माँगूँ

  - Badar Shamsi

main charaagh-e-shab-e-hasti hoon ziya kya maanguun
zinda rahna hai to chalne ke siva kya maanguun

tohfa-e-chaak-e-garebaan ke siva kya maanguun
tujh se ai fasl-e-junoon tu hi bata kya maanguun

main ne chaaha hai tujhe apne iraadon ki tarah
aur main apne iraadon ka sila kya maanguun

phool mein noor nahin chaand mein khushboo hi nahin
in nazaaron se tira husn-e-ada kya maanguun

kitne aansu hain mere gham ko sajaane ke liye
aaj ki raat sitaaron se ziya kya maanguun

apne hi khoon mein dooba hua paikar hoon main
main kisi aur se rangeen qaba kya maanguun

zakham-e-ehsaas lahu de to bahaar aati hai
guncha-e-dil ke liye mauj-e-saba kya maanguun

meri qismat mein to shaayad koi patthar bhi nahin
vahshat-e-dil ka kisi se main sila kya maanguun

dil ka har daagh-e-tamanna hai charaagh-e-manzil
badr main chaand-sitaaron se ziya kya maanguun

मैं चराग़-ए-शब-ए-हस्ती हूँ ज़िया क्या माँगूँ
ज़िंदा रहना है तो चलने के सिवा क्या माँगूँ

तोहफ़ा-ए-चाक-ए-गरेबाँ के सिवा क्या माँगूँ
तुझ से ऐ फ़स्ल-ए-जुनूँ तू ही बता क्या माँगूँ

मैं ने चाहा है तुझे अपने इरादों की तरह
और मैं अपने इरादों का सिला क्या माँगूँ

फूल में नूर नहीं चाँद में ख़ुशबू ही नहीं
इन नज़ारों से तिरा हुस्न-ए-अदा क्या माँगूँ

कितने आँसू हैं मिरे ग़म को सजाने के लिए
आज की रात सितारों से ज़िया क्या माँगूँ

अपने ही ख़ून में डूबा हुआ पैकर हूँ मैं
मैं किसी और से रंगीन क़बा क्या माँगूँ

ज़ख़्म-ए-एहसास लहू दे तो बहार आती है
ग़ुंचा-ए-दिल के लिए मौज-ए-सबा क्या माँगूँ

मेरी क़िस्मत में तो शायद कोई पत्थर भी नहीं
वहशत-ए-दिल का किसी से मैं सिला क्या माँगूँ

दिल का हर दाग़-ए-तमन्ना है चराग़-ए-मंज़िल
'बद्र' मैं चाँद-सितारों से ज़िया क्या माँगूँ

  - Badar Shamsi

Phool Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Badar Shamsi

As you were reading Shayari by Badar Shamsi

Similar Writers

our suggestion based on Badar Shamsi

Similar Moods

As you were reading Phool Shayari Shayari