paimaan-e-wafa tod ke jaane ke liye aa | पैमान-ए-वफ़ा तोड़ के जाने के लिए आ

  - Badar Shamsi

paimaan-e-wafa tod ke jaane ke liye aa
aa dil ki lagi aur badhaane ke liye aa

paamaal hi kar zulm hi dhaane ke liye aa
mujh ko mera ehsaas dilaane ke liye aa

nau-khez bahaaron se mere dil ko saja de
zakhamon ke naye phool khilaane ke liye aa

kab se gham-e-haalat ki raahon mein pada hoon
tu bhi koi thokar hi lagaane ke liye aa

phoolon ka taqaza to nahin dast-e-karam se
kaante meri raahon mein bichaane ke liye aa

ho tanj ki baarish bhi tavajjoh ki ada se
ai abr-e-karam aag lagaane ke liye aa

ab khud ko bhulaaun ki tujhe yaad karoon main
ai haasil-e-gham itna bataane ke liye aa

likkha hai mera naam tire dil ke warq par
main harf-e-ghalat hoon to mitaane ke liye aa

har zakham dil-e-'badr ko ik taaza khalish de
lau bujhte charaagon ki badhaane ke liye aa

पैमान-ए-वफ़ा तोड़ के जाने के लिए आ
आ दिल की लगी और बढ़ाने के लिए आ

पामाल ही कर ज़ुल्म ही ढाने के लिए आ
मुझ को मिरा एहसास दिलाने के लिए आ

नौ-ख़ेज़ बहारों से मिरे दिल को सजा दे
ज़ख़्मों के नए फूल खिलाने के लिए आ

कब से ग़म-ए-हालात की राहों में पड़ा हूँ
तू भी कोई ठोकर ही लगाने के लिए आ

फूलों का तक़ाज़ा तो नहीं दस्त-ए-करम से
काँटे मिरी राहों में बिछाने के लिए आ

हो तंज़ की बारिश भी तवज्जोह की अदा से
ऐ अब्र-ए-करम आग लगाने के लिए आ

अब ख़ुद को भुलाऊँ कि तुझे याद करूँ मैं
ऐ हासिल-ए-ग़म इतना बताने के लिए आ

लिक्खा है मिरा नाम तिरे दिल के वर्क़ पर
मैं हर्फ़-ए-ग़लत हूँ तो मिटाने के लिए आ

हर ज़ख़्म दिल-ए-'बद्र' को इक ताज़ा ख़लिश दे
लौ बुझते चराग़ों की बढ़ाने के लिए आ

  - Badar Shamsi

Andaaz Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Badar Shamsi

As you were reading Shayari by Badar Shamsi

Similar Writers

our suggestion based on Badar Shamsi

Similar Moods

As you were reading Andaaz Shayari Shayari