vo chaandni vo chaand sa paikar utaar de
pahluu mein koi khwaab ka manzar utaar de
mahfooz ab nahin hain mere dil ki sarhadein
kah do kisi ghaneem se lashkar utaar de
kab se shareek hoon main jihaad-e-hayaat mein
bahr-e-najaat koi mera sar utaar de
toote tira khayal to bistar ki har shikan
aankhon mein jaise neend ke nashtar utaar de
dil se lagaaye kaun mera gham meri khushi
har shakhs dil ka bojh samajh kar utaar de
jumbish jab us ke lab ko hui to pata chala
chhatke kali to rooh mein nashtar utaar de
kab se uthaaye firta hoon tanhaaiyon ka bojh
dil se koi ye dard ka patthar utaar de
ai badr ashk-e-gham ke alaava koi to ho
teera-shabee mein jo mah-o-akhtar utaar de
वो चाँदनी वो चाँद सा पैकर उतार दे
पहलू में कोई ख़्वाब का मंज़र उतार दे
महफ़ूज़ अब नहीं हैं मिरे दिल की सरहदें
कह दो किसी ग़नीम से लश्कर उतार दे
कब से शरीक हूँ मैं जिहाद-ए-हयात में
बहर-ए-नजात कोई मिरा सर उतार दे
टूटे तिरा ख़याल तो बिस्तर की हर शिकन
आँखों में जैसे नींद के नश्तर उतार दे
दिल से लगाए कौन मिरा ग़म मिरी ख़ुशी
हर शख़्स दिल का बोझ समझ कर उतार दे
जुम्बिश जब उस के लब को हुई तो पता चला
चटके कली तो रूह में नश्तर उतार दे
कब से उठाए फिरता हूँ तन्हाइयों का बोझ
दिल से कोई ये दर्द का पत्थर उतार दे
ऐ 'बद्र' अश्क-ए-ग़म के अलावा कोई तो हो
तीरा-शबी में जो मह-ओ-अख़्तर उतार दे
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Badar Shamsi
our suggestion based on Badar Shamsi
As you were reading Khyaal Shayari Shayari