nazar bacha ke nazar se guzar gaya vo shakhs | नज़र बचा के नज़र से गुज़र गया वो शख़्स

  - Badar Shamsi

nazar bacha ke nazar se guzar gaya vo shakhs
mere vujood mein lekin utar gaya vo shakhs

jo zindagi ki alaamat tha ik zamaane se
suna hai aaj khud apne mein mar gaya vo shakhs

kahi bhi kam na hua us ka dard-e-tanhaai
samundron se bhi pyaasa guzar gaya vo shakhs

na jaane kab se sambhaale hue tha jo khud ko
na jaane aaj ye kaise bikhar gaya vo shakhs

tuloo'-e-dard hua aaftaab-e-nau ki tarah
shab-e-alam ki fazaa mein nikhar gaya vo shakhs

sajaaye ashk zamaane ke apni aankhon mein
magar khud apne tabassum se dar gaya vo shakhs

pukaarti thi use be-charaagh raahguzar
tamaam karke jab apna safar gaya vo shakhs

har ek chehra hai be-chehergi ka aaina
abhi jo badr yahan tha kidhar gaya vo shakhs

नज़र बचा के नज़र से गुज़र गया वो शख़्स
मिरे वजूद में लेकिन उतर गया वो शख़्स

जो ज़िंदगी की अलामत था इक ज़माने से
सुना है आज ख़ुद अपने में मर गया वो शख़्स

कहीं भी कम न हुआ उस का दर्द-ए-तन्हाई
समुंदरों से भी प्यासा गुज़र गया वो शख़्स

न जाने कब से सँभाले हुए था जो ख़ुद को
न जाने आज ये कैसे बिखर गया वो शख़्स

तुलूअ'-ए-दर्द हुआ आफ़्ताब-ए-नौ की तरह
शब-ए-अलम की फ़ज़ा में निखर गया वो शख़्स

सजाए अश्क ज़माने के अपनी आँखों में
मगर ख़ुद अपने तबस्सुम से डर गया वो शख़्स

पुकारती थी उसे बे-चराग़ राहगुज़र
तमाम करके जब अपना सफ़र गया वो शख़्स

हर एक चेहरा है बे-चेहरगी का आईना
अभी जो 'बद्र' यहाँ था किधर गया वो शख़्स

  - Badar Shamsi

Nazar Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Badar Shamsi

As you were reading Shayari by Badar Shamsi

Similar Writers

our suggestion based on Badar Shamsi

Similar Moods

As you were reading Nazar Shayari Shayari