sham'a jale hai mehfil mehfil khaak-basar parwaana hai | शम्अ जले है महफ़िल महफ़िल ख़ाक-बसर परवाना है

  - Badar Shamsi

sham'a jale hai mehfil mehfil khaak-basar parwaana hai
is duniya mein dard paraaya sach hai kis ne jaana hai

baat faqat itni hai waiz door ka dhol suhaana hai
warna jannat apni jagah hai may-khaana may-khaana hai

un ke jalwe meri nigaahen dono hain kuchh farq nahin
maan liya unwaan alag hain lekin ek fasana hai

tark-e-raah-o-rasm-e-wafa ka hai un par ilzaam galat
aaj bhi apni khalwat-e-dil mein un ka aana-jaana hai

aate aate aa jaayega chain bhi gham ke maaron ko
bharte bharte bhar jaayega dil ka zakham puraana hai

badr hamaare sheesha-e-dil mein hain us ki tasveer sabhi
jis ko sab ka'ba kahte hain vo bhi ik but-khaana hai

शम्अ जले है महफ़िल महफ़िल ख़ाक-बसर परवाना है
इस दुनिया में दर्द पराया सच है किस ने जाना है

बात फ़क़त इतनी है वाइज़ दूर का ढोल सुहाना है
वर्ना जन्नत अपनी जगह है मय-ख़ाना मय-ख़ाना है

उन के जल्वे मेरी निगाहें दोनों हैं कुछ फ़र्क़ नहीं
मान लिया उन्वान अलग हैं लेकिन एक फ़साना है

तर्क-ए-राह-ओ-रस्म-ए-वफ़ा का है उन पर इल्ज़ाम ग़लत
आज भी अपनी ख़ल्वत-ए-दिल में उन का आना-जाना है

आते आते आ जाएगा चैन भी ग़म के मारों को
भरते भरते भर जाएगा दिल का ज़ख़्म पुराना है

'बद्र' हमारे शीशा-ए-दिल में हैं उस की तस्वीर सभी
जिस को सब का'बा कहते हैं वो भी इक बुत-ख़ाना है

  - Badar Shamsi

Mehfil Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Badar Shamsi

As you were reading Shayari by Badar Shamsi

Similar Writers

our suggestion based on Badar Shamsi

Similar Moods

As you were reading Mehfil Shayari Shayari