yun bichhad jaaunga tum se main ne ye socha na tha | यूँ बिछड़ जाऊँगा तुम से मैं ने ये सोचा न था

  - Badar Shamsi

yun bichhad jaaunga tum se main ne ye socha na tha
qurbaton mein faaslon ka koi andaaza na tha

jaane pahchaane hue chehre bhi sab the ajnabi
kitna tanhaa tha wahan bhi main jahaan tanhaa na tha

apne dil ka zahar-e-gham aankhon se jo chhalaka gaya
vo samundar tha magar meri tarah gahra na tha

zindagi ham bhi tiri qadron ke waaris the magar
apni qismat mein faqat deewaar thi saaya na tha

har taraf hai ab meri khaamoshiyon ki baazgasht
zindagi mein is se pehle itna sannaata na tha

roothne waale meri chaahat ka andaaza to kar
is qadar to main ne khud ko bhi kabhi chaaha na tha

zakham bhi jis ne diye hain mujh ko ghairoon ki tarah
vo mera apna tha lekin mujh ko pahchaana na tha

pyaar aakhir kyun na aata apne qaateel par mujhe
mere us ke darmiyaan kya khoon ka rishta na tha

be-wafaai ki shikaayat thi mujhe us se magar
us ki majboori ko jab tak badr main samjha na tha

यूँ बिछड़ जाऊँगा तुम से मैं ने ये सोचा न था
क़ुर्बतों में फ़ासलों का कोई अंदाज़ा न था

जाने पहचाने हुए चेहरे भी सब थे अजनबी
कितना तन्हा था वहाँ भी मैं जहाँ तन्हा न था

अपने दिल का ज़हर-ए-ग़म आँखों से जो छलका गया
वो समुंदर था मगर मेरी तरह गहरा न था

ज़िंदगी हम भी तिरी क़द्रों के वारिस थे मगर
अपनी क़िस्मत में फ़क़त दीवार थी साया न था

हर तरफ़ है अब मिरी ख़ामोशियों की बाज़गश्त
ज़िंदगी में इस से पहले इतना सन्नाटा न था

रूठने वाले मिरी चाहत का अंदाज़ा तो कर
इस क़दर तो मैं ने ख़ुद को भी कभी चाहा न था

ज़ख़्म भी जिस ने दिए हैं मुझ को ग़ैरों की तरह
वो मिरा अपना था लेकिन मुझ को पहचाना न था

प्यार आख़िर क्यों न आता अपने क़ातिल पर मुझे
मेरे उस के दरमियाँ क्या ख़ून का रिश्ता न था

बे-वफ़ाई की शिकायत थी मुझे उस से मगर
उस की मजबूरी को जब तक 'बद्र' मैं समझा न था

  - Badar Shamsi

Khoon Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Badar Shamsi

As you were reading Shayari by Badar Shamsi

Similar Writers

our suggestion based on Badar Shamsi

Similar Moods

As you were reading Khoon Shayari Shayari