kitna ajeeb shehr-e-tamanna dikhaai de
hai itni raushni ki andhera dikhaai de
ta'beer kis se poochiye us khwaab-e-shauq ki
jo khwaab dekhiye to adhoora dikhaai de
ab aam ho chali hai yahi rasm-e-zindagi
har shakhs apne dard ka maara dikhaai de
ubhre mere dareecha-e-dil se vo chaand jab
suraj bhi saamne ho to dhalt dikhaai de
is shehr-e-aarzoo mein ajab khush-nazar hain log
bakshe jo dil ko dard maseeha dikhaai de
jis anjuman mein sab ki nazar ho tiri taraf
us anjuman mein kaun kisi ka dikhaai de
kitni ajeeb chot hai ye dil ki chot bhi
bharne lage jo zakham vo gahra dikhaai de
tujh se alag nahin hai koi rang-e-dil-kashi
har rang tere rang mein dhalt dikhaai de
dil mein na ho jo daagh-e-tamanna ki raushni
ai badr zindagi mein andhera dikhaai de
कितना अजीब शहर-ए-तमन्ना दिखाई दे
है इतनी रौशनी कि अंधेरा दिखाई दे
ता'बीर किस से पूछिए उस ख़्वाब-ए-शौक़ की
जो ख़्वाब देखिए तो अधूरा दिखाई दे
अब आम हो चली है यही रस्म-ए-ज़िंदगी
हर शख़्स अपने दर्द का मारा दिखाई दे
उभरे मिरे दरीचा-ए-दिल से वो चाँद जब
सूरज भी सामने हो तो ढलता दिखाई दे
इस शहर-ए-आरज़ू में अजब ख़ुश-नज़र हैं लोग
बख़्शे जो दिल को दर्द मसीहा दिखाई दे
जिस अंजुमन में सब की नज़र हो तिरी तरफ़
उस अंजुमन में कौन किसी का दिखाई दे
कितनी अजीब चोट है ये दिल की चोट भी
भरने लगे जो ज़ख़्म वो गहरा दिखाई दे
तुझ से अलग नहीं है कोई रंग-ए-दिल-कशी
हर रंग तेरे रंग में ढलता दिखाई दे
दिल में न हो जो दाग़-ए-तमन्ना की रौशनी
ऐ 'बद्र' ज़िंदगी में अँधेरा दिखाई दे
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Badar Shamsi
our suggestion based on Badar Shamsi
As you were reading Ghayal Shayari Shayari