dil jin ko poojta tha vo gham jaagte rahe
kal raat but-kade mein sanam jaagte rahe
us waqt bhi ki saara zamaana tha mahv-e-khwaab
ham waarisaan-e-lauh-o-qalam jaagte rahe
lutte rahe hain sheher-e-nigaaraan mein raat bhar
haalaanki ahl-e-dair-o-haram jaagte rahe
aati rahi hamein tiri aahat tamaam raat
sunte rahe sada-e-qadam jaagte rahe
un se chhidi hui theen unhi ki hikaayaten
kal saari raat khwaab mein ham jaagte rahe
uljhe rahe jo mere tasavvur se raat bhar
khwaabida gesuon ke vo kham jaagte rahe
raaton ko ham ne yun bhi kiya din kabhi kabhi
peete rahe sharaab-e-alam jaagte rahe
chhedi jo badr ham ne shab-e-gham ki dastaan
taare qareeb-e-deeda-e-nam jaagte rahe
दिल जिन को पूजता था वो ग़म जागते रहे
कल रात बुत-कदे में सनम जागते रहे
उस वक़्त भी कि सारा ज़माना था महव-ए-ख़्वाब
हम वारिसान-ए-लौह-ओ-क़लम जागते रहे
लुटते रहे हैं शहर-ए-निगाराँ में रात भर
हालाँकि अहल-ए-दैर-ओ-हरम जागते रहे
आती रही हमें तिरी आहट तमाम रात
सुनते रहे सदा-ए-क़दम जागते रहे
उन से छिड़ी हुई थीं उन्ही की हिकायतें
कल सारी रात ख़्वाब में हम जागते रहे
उलझे रहे जो मेरे तसव्वुर से रात भर
ख़्वाबीदा गेसुओं के वो ख़म जागते रहे
रातों को हम ने यूँ भी किया दिन कभी कभी
पीते रहे शराब-ए-अलम जागते रहे
छेड़ी जो 'बद्र' हम ने शब-ए-ग़म की दास्ताँ
तारे क़रीब-ए-दीदा-ए-नम जागते रहे
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Badar Shamsi
our suggestion based on Badar Shamsi
As you were reading Yaad Shayari Shayari