ek hain naani jaan hamaari
kya batlaayein kitni pyaari
un ke munh mein daant nahin hain
itni boodhi hain bechaari
phir bhi vo khaaya karti hain
koot koot kar paan supaari
hui hai jab se laahaq un ko
blood-pressure ki beemaari
shor zara bhi ho to un par
hoti hai ghabraahat taari
एक हैं नानी जान हमारी
क्या बतलाएँ कितनी प्यारी
उन के मुँह में दाँत नहीं हैं
इतनी बूढ़ी हैं बेचारी
फिर भी वो खाया करती हैं
कूट कूट कर पान सुपारी
हुई है जब से लाहक़ उन को
ब्लड-प्रेशर की बीमारी
शोर ज़रा भी हो तो उन पर
होती है घबराहट तारी
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Badiuzzaman Khawar
our suggestion based on Badiuzzaman Khawar
As you were reading Aahat Shayari Shayari