hubb-e-qaumi ka zabaan par in dinon afsaana hai | हुब्ब-ए-क़ौमी का ज़बाँ पर इन दिनों अफ़्साना है - Chakbast Brij Narayan

hubb-e-qaumi ka zabaan par in dinon afsaana hai
baada-e-ulfat se pur dil ka mere paimaana hai
jis jagah dekho mohabbat ka wahan afsaana hai
ishq mein apne watan ke har bashar deewaana hai
jab ki ye aaghaaz hai anjaam ka kya poochna
baada-e-ulfat ka ye to pehla hi paimaana hai
hai jo raushan bazm mein qaumi tarqqi ka charaagh
dil fida har ik ka us par soorat-e-parwaana hai
mujh se is hamdardi-o-ulfat ka kya hove bayaan
jo hai vo qaumi tarqqi ke liye deewaana hai
lutf yaktaai mein jo hai vo dui mein hai kahaan
bar-khilaf is ke jo ho samjho ki vo deewaana hai
nakhl-e-ulfat jin ki koshish se ugaa hai qaum mein
qaabil-e-taarif un ki himmat-e-mardaana hai
hai gul-e-maqsood se pur gulshan-e-kashmir aaj
dushmani na-ittifaqi sabza-e-begaana hai
dur-fishaan hai har zabaan hubb-e-watan ke wasf mein
josh-zan har samt bahr-e-himmat-e-mardaana hai
ye mohabbat ki fazaa qaaim hui hai aap se
aap ka laazim tah-e-dil se hamein shukraana hai
har bashar ko hai bharosa aap ki imdaad par
aap ki hamdardiyon ka door door afsaana hai
jam'a hain qaumi tarqqi ke liye arbaab-e-qoum
rask-e-firdaus un ke qadmon se ye shaadi-khaana hai

हुब्ब-ए-क़ौमी का ज़बाँ पर इन दिनों अफ़्साना है
बादा-ए-उल्फ़त से पुर दिल का मिरे पैमाना है
जिस जगह देखो मोहब्बत का वहाँ अफ़्साना है
इश्क़ में अपने वतन के हर बशर दीवाना है
जब कि ये आग़ाज़ है अंजाम का क्या पूछना
बादा-ए-उल्फ़त का ये तो पहला ही पैमाना है
है जो रौशन बज़्म में क़ौमी तरक़्क़ी का चराग़
दिल फ़िदा हर इक का उस पर सूरत-ए-परवाना है
मुझ से इस हमदर्दी-ओ-उल्फ़त का क्या होवे बयाँ
जो है वो क़ौमी तरक़्क़ी के लिए दीवाना है
लुत्फ़ यकताई में जो है वो दुई में है कहाँ
बर-ख़िलाफ़ इस के जो हो समझो कि वो दीवाना है
नख़्ल-ए-उल्फ़त जिन की कोशिश से उगा है क़ौम में
क़ाबिल-ए-तारीफ़ उन की हिम्मत-ए-मर्दाना है
है गुल-ए-मक़्सूद से पुर गुलशन-ए-कश्मीर आज
दुश्मनी ना-इत्तिफ़ाक़ी सब्ज़ा-ए-बेगाना है
दुर-फ़िशाँ है हर ज़बाँ हुब्ब-ए-वतन के वस्फ़ में
जोश-ज़न हर सम्त बहर-ए-हिम्मत-ए-मर्दाना है
ये मोहब्बत की फ़ज़ा क़ाएम हुई है आप से
आप का लाज़िम तह-ए-दिल से हमें शुक्राना है
हर बशर को है भरोसा आप की इमदाद पर
आप की हमदर्दियों का दूर दूर अफ़्साना है
जम्अ हैं क़ौमी तरक़्क़ी के लिए अर्बाब-ए-क़ौम
रश्क-ए-फ़िरदौस उन के क़दमों से ये शादी-ख़ाना है

- Chakbast Brij Narayan
0 Likes

Aadmi Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Chakbast Brij Narayan

As you were reading Shayari by Chakbast Brij Narayan

Similar Writers

our suggestion based on Chakbast Brij Narayan

Similar Moods

As you were reading Aadmi Shayari Shayari