din dhala badhne lagin parchaaiyaan
phir wahi gham phir wahi tanhaaiyaan
jhilmilaaye jaise lehron par kiran
aas leti dil mein yun angadaaiyaan
paanv ki paazeb ke ghunghroo the ashk
tootne par baj uthiin shehnaaiyaan
jab nagar ki dhoop mein jalna pada
yaad aayein gaav ki amraaiyaan
ab bhala tanhaa kahaan main rah gaya
saath hain mere meri ruswaaiyaan
दिन ढला बढ़ने लगीं परछाइयाँ
फिर वही ग़म फिर वही तन्हाइयाँ
झिलमिलाए जैसे लहरों पर किरन
आस लेती दिल में यूँ अंगड़ाइयाँ
पाँव की पाज़ेब के घुंघरू थे अश्क
टूटने पर बज उठीं शहनाइयाँ
जब नगर की धूप में जलना पड़ा
याद आईं गाँव की अमराइयाँ
अब भला तन्हा कहाँ मैं रह गया
साथ हैं मेरे मिरी रुस्वाइयाँ
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Chander Wahid
our suggestion based on Chander Wahid
As you were reading Ujaala Shayari Shayari