soorat utar na jaaye kahi mahtaab ki | सूरत उतर न जाए कहीं माहताब की

  - Chander Wahid

soorat utar na jaaye kahi mahtaab ki
kah do ki baat jhooth hai un ke shabaab ki

shaam-e-visaal sej pe sharmaae jun dulhan
sharmaai yun hain shaakh pe kaliyaan gulaab ki

patthar uchaal deejie yun dil ki jheel mein
warna umeed rakhiye na mujh se jawaab ki

manzil qareeb aayi to bhatka diya gaya
in rahbaro'n ne zindagi meri kharab ki

haalaat ne bigaad di waahid ki shakl yun
jaise kharab jild ho achhi kitaab ki

सूरत उतर न जाए कहीं माहताब की
कह दो कि बात झूट है उन के शबाब की

शाम-ए-विसाल सेज पे शरमाए जूँ दुल्हन
शर्माई यूँ हैं शाख़ पे कलियाँ गुलाब की

पत्थर उछाल दीजिए यूँ दिल की झील में
वर्ना उमीद रखिए न मुझ से जवाब की

मंज़िल क़रीब आई तो भटका दिया गया
इन रहबरों ने ज़िंदगी मेरी ख़राब की

हालात ने बिगाड़ दी 'वाहिद' की शक्ल यूँ
जैसे ख़राब जिल्द हो अच्छी किताब की

  - Chander Wahid

Gulaab Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Chander Wahid

As you were reading Shayari by Chander Wahid

Similar Writers

our suggestion based on Chander Wahid

Similar Moods

As you were reading Gulaab Shayari Shayari