ehsaas pe bojhal kuchh sadmaat ka qissa hai | एहसास पे बोझल कुछ सदमात का क़िस्सा है

  - Chander Wahid

ehsaas pe bojhal kuchh sadmaat ka qissa hai
gham sirf takhayyul ke lamhaat ka qissa hai

shaayad main nahin kuchh bhi shaayad main bahut kuchh hoon
kya jaane mera jeevan kis baat ka qissa hai

aaya hoon kahaan se main jaana hai kahaan aakhir
har sher mera in hi fikraat ka qissa hai

khoi hui manzil ke ham bhatke musaafir hain
kuchh aur nahin duniya be-baat ka qissa hai

chal dena sehar hote so jaana kahi thak kar
ham jaise faqeeron ke din-raat ka qissa hai

एहसास पे बोझल कुछ सदमात का क़िस्सा है
ग़म सिर्फ़ तख़य्युल के लम्हात का क़िस्सा है

शायद मैं नहीं कुछ भी शायद मैं बहुत कुछ हूँ
क्या जाने मिरा जीवन किस बात का क़िस्सा है

आया हूँ कहाँ से मैं जाना है कहाँ आख़िर
हर शेर मिरा इन ही फ़िक्रात का क़िस्सा है

खोई हुई मंज़िल के हम भटके मुसाफ़िर हैं
कुछ और नहीं दुनिया बे-बात का क़िस्सा है

चल देना सहर होते सो जाना कहीं थक कर
हम जैसे फ़क़ीरों के दिन-रात का क़िस्सा है

  - Chander Wahid

Ehsaas Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Chander Wahid

As you were reading Shayari by Chander Wahid

Similar Writers

our suggestion based on Chander Wahid

Similar Moods

As you were reading Ehsaas Shayari Shayari