vo dekhne mein faqat raaste ka patthar hai | वो देखने में फ़क़त रास्ते का पत्थर है

  - Chander Wahid

vo dekhne mein faqat raaste ka patthar hai
hazaar raahbaron se magar vo behtar hai

samay kumhaar hai jo chaak par nachaata hai
ye zindagi to suraahi ka naachna bhar hai

jo khaali haath hai aaya vo kya khareedega
ise to duniya ke mele ko dekhna bhar hai

ye dekhna hai ki jeetega kaun baazi ko
mukaable mein mera ghar hai aur mahshar hai

ghamon ki aag se khud ko zara bacha rakhna
ki jis mein rahte ho waahid vo mom ka ghar hai

वो देखने में फ़क़त रास्ते का पत्थर है
हज़ार राहबरों से मगर वो बेहतर है

समय कुम्हार है जो चाक पर नचाता है
ये ज़िंदगी तो सुराही का नाचना भर है

जो ख़ाली हाथ है आया वो क्या ख़रीदेगा
इसे तो दुनिया के मेले को देखना भर है

ये देखना है कि जीतेगा कौन बाज़ी को
मुक़ाबले में मिरा घर है और महशर है

ग़मों की आग से ख़ुद को ज़रा बचा रखना
कि जिस में रहते हो 'वाहिद' वो मोम का घर है

  - Chander Wahid

Aag Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Chander Wahid

As you were reading Shayari by Chander Wahid

Similar Writers

our suggestion based on Chander Wahid

Similar Moods

As you were reading Aag Shayari Shayari