yaadon ka dard dil mein hai kuchh yun ubhaar par
jaise ugaa hoon nanha sa pauda mazaar par
palkon pe un ki thehre hain aansu kuchh is tarah
aa baitheen jaise zakhmi parinde dwaar par
dukh dard nai aah mujhe phir se thaam lo
kahte hain mujh se log ki main hoon utaar par
ab chahe jaise khele hamaare naseeb se
ham ne to chhodaa faisla parvardigaar par
honge nahin fazaaon mein waahid ke geet ab
sar rakh ke so gaya hai vo toote sitaar par
यादों का दर्द दिल में है कुछ यूँ उभार पर
जैसे उगा हूँ नन्हा सा पौदा मज़ार पर
पलकों पे उन की ठहरे हैं आँसू कुछ इस तरह
आ बैठें जैसे ज़ख़्मी परिंदे द्वार पर
दुख दर्द नईं आह मुझे फिर से थाम लो
कहते हैं मुझ से लोग कि मैं हूँ उतार पर
अब चाहे जैसे खेले हमारे नसीब से
हम ने तो छोड़ा फ़ैसला परवरदिगार पर
होंगे नहीं फ़ज़ाओं में 'वाहिद' के गीत अब
सर रख के सो गया है वो टूटे सितार पर
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Chander Wahid
our suggestion based on Chander Wahid
As you were reading Afsos Shayari Shayari