kabhi jo shab ki siyaahi se na-gahaan guzre
ham ahl-e-zarf har ik soch par garaan guzre
nigaah-o-dil se mita den jo tishnagi ka azaab
vo aabshaar ke dhaare abhi kahaan guzre
gham aafreen tha musalsal sukoot-e-shehr-e-habeeb
ham is gali se magar phir bhi shaadmaan guzre
shikastagi ki tilismi fazaa nayi to nahin
yahan to aise kai daur imtihaan guzre
nazar mein shokh shabeehein liye hue hai sehar
abhi na koi idhar se dhuaan dhuaan guzre
tamaam koh kashaaksh tha mere sar pe khayal
agarche aur bhi duniya mein sakht jaan guzre
कभी जो शब की सियाही से ना-गहाँ गुज़रे
हम अहल-ए-ज़र्फ़ हर इक सोच पर गराँ गुज़रे
निगाह-ओ-दिल से मिटा दें जो तिश्नगी का अज़ाब
वो आबशार के धारे अभी कहाँ गुज़रे
ग़म आफ़रीं था मुसलसल सुकूत-ए-शहर-ए-हबीब
हम इस गली से मगर फिर भी शादमाँ गुज़रे
शिकस्तगी की तिलिस्मी फ़ज़ा नई तो नहीं
यहाँ तो ऐसे कई दौर इम्तिहाँ गुज़रे
नज़र में शोख़ शबीहें लिए हुए है सहर
अभी न कोई इधर से धुआँ धुआँ गुज़रे
तमाम कोह कशाकश था मेरे सर पे 'ख़याल'
अगरचे और भी दुनिया में सख़्त जाँ गुज़रे
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Chandrabhan Khayal
our suggestion based on Chandrabhan Khayal
As you were reading Yaad Shayari Shayari