isse ziyaada bhi mera kya jaayega | इससे ज़ियादा भी मेरा क्या जाएगा

  - Chandrajeet Regar

isse ziyaada bhi mera kya jaayega
mujhko kahaani se nikala jaayega

mere ghamo ka khaatma aasaan nahin
andhere mein kab ye ujaala jaayega

pehle bahega aankhon se darya-e-khoon
aur maykade ko phir munaafa jaayega

ye zindagi to zindagi lagti nahin
aakhir mein ye rasta bhi tanhaa jaayega

chahe jahaan jaaye mujhe maaloom hai
aakhir samandar mein hi dariya jaayega

maana safar-e-zindagi hai raaegaan
ho saath ham to rasta achha jaayega

bigde hue hain mere saare yaar aur
ik din hamein bhi phir bigaara jaayega

इससे ज़ियादा भी मेरा क्या जाएगा
मुझको कहानी से निकाला जाएगा

मेरे ग़मो का ख़ात्मा आसाँ नहीं
अँधेरे में कब ये उजाला जाएगा

पहले बहेगा आँखों से दरिया-ए-खूँ
और मयकदे को फिर मुनाफ़ा जाएगा

ये ज़िंदगी तो ज़िंदगी लगती नहीं
आख़िर में ये रस्ता भी तन्हा जाएगा

चाहे जहाँ जाए मुझे मालूम है
आख़िर समन्दर में ही दरिया जाएगा

माना सफ़र-ए-ज़िंदगी है राएगान
हो साथ हम तो रस्ता अच्छा जाएगा

बिगड़े हुए हैं मेरे सारे यार और
इक दिन हमें भी फिर बिगाड़ा जाएगा

  - Chandrajeet Regar

Duniya Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Chandrajeet Regar

As you were reading Shayari by Chandrajeet Regar

Similar Writers

our suggestion based on Chandrajeet Regar

Similar Moods

As you were reading Duniya Shayari Shayari