main ne kaha ki dil mein to armaan hain bahut
us ne kaha ki aap to naadaan hain bahut
main ne kaha ki mujh ko hai jannat ki aarzoo
us ne kaha ki waqif-e-imaan hain bahut
main ne kaha ki mahka hua ik gulaab hoon
us ne kaha zameen pe gulistaan hain bahut
main ne kaha ki meri panahon mein aaiye
us ne kaha ki mere nigahbaan hain bahut
main ne kaha ki ek murassaa ghazal hoon main
us ne kaha ki aise to deewaan hain bahut
main ne kaha ki tark-e-wafa se hoon sharmasaar
us ne kaha ki ham bhi pashemaan hain bahut
main ne kaha ki rakkhega mohsin adab ki laaj
us ne kaha ki vaise to imkaan hain bahut
मैं ने कहा कि दिल में तो अरमान हैं बहुत
उस ने कहा कि आप तो नादान हैं बहुत
मैं ने कहा कि मुझ को है जन्नत की आरज़ू
उस ने कहा कि वाक़िफ़-ए-ईमान हैं बहुत
मैं ने कहा कि महका हुआ इक गुलाब हूँ
उस ने कहा ज़मीं पे गुलिस्तान हैं बहुत
मैं ने कहा कि मेरी पनाहों में आइए
उस ने कहा कि मेरे निगहबान हैं बहुत
मैं ने कहा कि एक मुरस्सा ग़ज़ल हूँ मैं
उस ने कहा कि ऐसे तो दीवान हैं बहुत
मैं ने कहा कि तर्क-ए-वफ़ा से हूँ शर्मसार
उस ने कहा कि हम भी पशेमान हैं बहुत
मैं ने कहा कि रक्खेगा 'मोहसिन' अदब की लाज
उस ने कहा कि वैसे तो इम्कान हैं बहुत
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Daood Mohsin
our suggestion based on Daood Mohsin
As you were reading Haya Shayari Shayari