zohr-e-aashiqi se darta hoon
husn ki barhmi se darta hoon
main ne daali kamand suraj par
phir bhi main raushni se darta hoon
aa basa hoon gali mein cheekh'on ki
is liye khaamoshi se darta hoon
maskh pehchaan ho na jaaye kahi
be-amal zindagi se darta hoon
kuchh safaai mein apni kehna hai
par tiri munsifi se darta hoon
khaar ko khaar gul ko gul kah doon
main kahaan kab kisi se darta hoon
apni tanhaai khoob hai mohsin
bazm ki be-rukhi se darta hoon
ज़ोहर-ए-आशिक़ी से डरता हूँ
हुस्न की बरहमी से डरता हूँ
मैं ने डाली कमंद सूरज पर
फिर भी मैं रौशनी से डरता हूँ
आ बसा हूँ गली में चीख़ों की
इस लिए ख़ामुशी से डरता हूँ
मस्ख़ पहचान हो न जाए कहीं
बे-अमल ज़िंदगी से डरता हूँ
कुछ सफ़ाई में अपनी कहना है
पर तिरी मुंसिफ़ी से डरता हूँ
ख़ार को ख़ार गुल को गुल कह दूँ
मैं कहाँ कब किसी से डरता हूँ
अपनी तन्हाई ख़ूब है 'मोहसिन'
बज़्म की बे-रुख़ी से डरता हूँ
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Daood Mohsin
our suggestion based on Daood Mohsin
As you were reading Khamoshi Shayari Shayari