tukhm-e-nafrat bo raha hai aadmi | तुख़्म-ए-नफ़रत बो रहा है आदमी

  - Daood Mohsin

tukhm-e-nafrat bo raha hai aadmi
aadmiyat kho raha hai aadmi

zindagi ka naam hai jehad-e-mudaam
so raha hai so raha hai aadmi

aagahi hai shart jeene ke liye
phir bhi ghaafil ho raha hai aadmi

chal saka na raah par aslaaf ki
naqsh-e-paa ab kho raha hai aadmi

kaashif-e-zaat-e-khuda tha sar-basar
ab nahin hai jo raha hai aadmi

apne hi a'amal par pachta ke ab
ro raha hai ro raha hai aadmi

qand-guftaari ai mohsin ab kahaan
zahr-aasa ho raha hai aadmi

तुख़्म-ए-नफ़रत बो रहा है आदमी
आदमियत खो रहा है आदमी

ज़िंदगी का नाम है जेहद-ए-मुदाम
सो रहा है सो रहा है आदमी

आगही है शर्त जीने के लिए
फिर भी ग़ाफ़िल हो रहा है आदमी

चल सका न राह पर अस्लाफ़ की
नक़्श-ए-पा अब खो रहा है आदमी

काशिफ़-ए-ज़ात-ए-ख़ुदा था सर-बसर
अब नहीं है जो रहा है आदमी

अपने ही आ'माल पर पछता के अब
रो रहा है रो रहा है आदमी

क़ंद-गुफ़्तारी ऐ 'मोहसिन' अब कहाँ
ज़हर-आसा हो रहा है आदमी

  - Daood Mohsin

Insaan Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Daood Mohsin

As you were reading Shayari by Daood Mohsin

Similar Writers

our suggestion based on Daood Mohsin

Similar Moods

As you were reading Insaan Shayari Shayari