zindaan mein hoon main sheher-e-nigaaraan se kya mujhe | ज़िंदाँ में हूँ मैं शहर-ए-निगाराँ से क्या मुझे

  - Daood Mohsin

zindaan mein hoon main sheher-e-nigaaraan se kya mujhe
is gulsitaan ki baad-e-bahaaraan se kiya mujhe

vo kaam apna kar hi gaya ehtiyaat se
yun dekhte ho deeda-e-hairaan se kya mujhe

veeraaniyaan hain gor-e-ghareeban si har taraf
lena hai aaj shahr-e-darkhan se kya mujhe

choone lage hain haath mere mehr-o-maah ko
mehfil ki aab-o-tab-e-charaagaan se kya mujhe

haathon ko zakham qalb ko maayusiyaan miliin
is ke siva mila hai gulistaan se kya mujhe

mohsin shab-e-siyaah ka maara hua hoon main
ab vaasta ho sham-e-shabistaan se kya mujhe

ज़िंदाँ में हूँ मैं शहर-ए-निगाराँ से क्या मुझे
इस गुल्सिताँ की बाद-ए-बहाराँ से किया मुझे

वो काम अपना कर ही गया एहतियात से
यूँ देखते हो दीदा-ए-हैराँ से क्या मुझे

वीरानियाँ हैं गोर-ए-ग़रीबाँ सी हर तरफ़
लेना है आज शहर-ए-दरख़्शाँ से क्या मुझे

छूने लगे हैं हाथ मिरे मेहर-ओ-माह को
महफ़िल की आब-ओ-ताब-ए-चराग़ाँ से क्या मुझे

हाथों को ज़ख़्म क़ल्ब को मायूसियाँ मिलीं
इस के सिवा मिला है गुलिस्ताँ से क्या मुझे

'मोहसिन' शब-ए-सियाह का मारा हुआ हूँ मैं
अब वास्ता हो शम-ए-शबिस्ताँ से क्या मुझे

  - Daood Mohsin

Relationship Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Daood Mohsin

As you were reading Shayari by Daood Mohsin

Similar Writers

our suggestion based on Daood Mohsin

Similar Moods

As you were reading Relationship Shayari Shayari