aaya dobaara mujh pe vo bazaar dekh kar | आया दुबारा मुझ पे वो बाज़ार देख कर - Devang Pratap Singh

aaya dobaara mujh pe vo bazaar dekh kar
main khush hua hoon zarf-e-khareedaar dekh kar

toofaan-e-gard-e-dil abhi uthne ko hai yahan
aana hai tujhko aa p mere yaar dekh kar

palkein jhapakne bhar mein yun sadiyaan guzar gayeen
dar lag raha hai waqt ki raftaar dekh kar

bas sar patak raha hoon bata aur kya karoon
dono dilon ke beech ye deewaar dekhkar

aankhon mein jiski doob ne ka khwaab tha mera
vo shakhs hans raha hai mujhe paar dekh kar

main putaliyon ko dekh ke aankhon mein fans gaya
thehri nadi mein aa gaya majhdhaar dekh kar

आया दुबारा मुझ पे वो बाज़ार देख कर
मैं खुश हुआ हूँ ज़र्फ़-ए-ख़रीदार देख कर

तूफ़ान-ए-गर्द-ए-दिल अभी उठने को है यहाँ
आना है तुझको आ प मेरे यार देख कर

पलकें झपकने भर में यूँ सदियाँ गुज़र गयीं
डर लग रहा है वक़्त की रफ़्तार देख कर

बस सर पटक रहा हूँ बता और क्या करूँ
दोनों दिलों के बीच ये दीवार देखकर

आँखों में जिसकी डूब ने का ख़्वाब था मेरा
वो शख़्स हँस रहा है मुझे पार देख कर

मैं पुतलियों को देख के आँखों में फँस गया
ठहरी नदी में आ गया मझधार देख कर

- Devang Pratap Singh
1 Like

Dariya Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Devang Pratap Singh

As you were reading Shayari by Devang Pratap Singh

Similar Writers

our suggestion based on Devang Pratap Singh

Similar Moods

As you were reading Dariya Shayari Shayari