subah ki peshaani par | सुबह की पेशानी पर

  - KAPIL DEV

subah ki peshaani par
kiya gaya dastkhat hai kohra
january ki kitaab mein
na jaane kitne dastkhat
kiye hain sardi ne
tumhaare khayaalon ki dhoop
odhkar main
january ki ye sard kitaab
padhta hoon

सुबह की पेशानी पर
किया गया दस्तख़त है कोहरा,
जनवरी की किताब में
ना जाने कितने दस्तख़त
किए हैं सर्दी ने।
तुम्हारे ख़यालों की धूप
ओढ़कर मैं
जनवरी की ये सर्द किताब
पढ़ता हूं।

  - KAPIL DEV

Education Shayari

Our suggestion based on your choice

Similar Writers

our suggestion based on KAPIL DEV

Similar Moods

As you were reading Education Shayari Shayari