rah gaya khwaab-e-dil-aaraam adhoora kis ka
dhal gai shab to khula hai ye dareecha kis ka
lamha lamha mujhe veeraan kiye deta hai
bas gaya mere tasavvur mein ye chehra kis ka
aazmaish ki ghadi hai sar-e-maqtal dekhen
zer-e-khanjar wahi rehta hai iraada kis ka
ye jo bedaar bhi hain soye hue bhi in mein
shaam kis ki hai khuda jaane savera kis ka
rah-rav-e-aakhir-e-shab hain sabhi uktaae hue
kaun kab tak hai yahan saath bharosa kis ka
mere qaateel ke tajassus mein bhatkne waalo
khoon aalood hai basti mein paseena kis ka
aaina-khaana do-aalam ko bana kar ai dil
muntazir baitha hai waarfta-o-shaida kis ka
रह गया ख़्वाब-ए-दिल-आराम अधूरा किस का
ढल गई शब तो खुला है ये दरीचा किस का
लम्हा लम्हा मुझे वीरान किए देता है
बस गया मेरे तसव्वुर में ये चेहरा किस का
आज़माइश की घड़ी है सर-ए-मक़्तल देखें
ज़ेर-ए-ख़ंजर वही रहता है इरादा किस का
ये जो बेदार भी हैं सोए हुए भी इन में
शाम किस की है ख़ुदा जाने सवेरा किस का
रह-रव-ए-आख़िर-ए-शब हैं सभी उकताए हुए
कौन कब तक है यहाँ साथ भरोसा किस का
मेरे क़ातिल के तजस्सुस में भटकने वालो
ख़ून आलूद है बस्ती में पसीना किस का
आईना-ख़ाना दो-आलम को बना कर ऐ 'दिल'
मुंतज़िर बैठा है वारफ़्ता-ओ-शैदा किस का
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Dil Ayubi
our suggestion based on Dil Ayubi
As you were reading Khoon Shayari Shayari