dukha hai dil tabhi to mujh pe chhaai hai udaasi bhi | दुखा है दिल तभी तो मुझ पे छाई है उदासी भी - Dua Ali

dukha hai dil tabhi to mujh pe chhaai hai udaasi bhi
meri palkon pe aansu bhi labon par hai khamoshi bhi

judaai mein mere dil ki suno kya ho gai haalat
mere dil mein hai vehshat bhi badi hai be-qaraari bhi

meri aankhon mein veeraani mere dil ko pareshaani
kuch aisi chup hui hoon main nahin hai khud-kalaami bhi

humein to hijr mein hi kaatni hai zindagi ab to
vo aa jaaye nahin ummeed baaki ab zara si bhi

agarche chot gahri hai dua phir bhi nahin badli
wahi hansne ki aadat bhi wahi hai khush-mizaaji bhi

दुखा है दिल तभी तो मुझ पे छाई है उदासी भी
मिरी पलकों पे आँसू भी लबों पर है ख़मोशी भी

जुदाई में मिरे दिल की सुनो क्या हो गई हालत
मिरे दिल में है वहशत भी बड़ी है बे-क़रारी भी

मिरी आँखों में वीरानी मिरे दिल को परेशानी
कुछ ऐसी चुप हुई हूँ मैं नहीं है ख़ुद-कलामी भी

हमें तो हिज्र में ही काटनी है ज़िंदगी अब तो
वो आ जाए नहीं उम्मीद बाक़ी अब ज़रा सी भी

अगरचे चोट गहरी है 'दुआ' फिर भी नहीं बदली
वही हँसने की आदत भी वही है ख़ुश-मिज़ाजी भी

- Dua Ali
0 Likes

Life Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Dua Ali

As you were reading Shayari by Dua Ali

Similar Writers

our suggestion based on Dua Ali

Similar Moods

As you were reading Life Shayari Shayari