ek khidki thi dikhi mujhko khuli shaam ke baad
yaad aayi thi qasam kal bhi teri shaam ke baad
sher aaya hi nahin koi zabaan par mera
sirf teri hi ghazal maine padhi shaam ke baad
yaad aayi thi achaanak hi mujhe bacchon ki
ek chidiya jo kahi chat pe giri shaam ke baad
jaane kitne hi manaazir the meri nazaron mein
baad muddat jo teri baat chali shaam ke baad
yaad aaya tha mujhe phir se kisi ka vaada
neend aankhon ki meri phir se udri shaam ke baad
sukhe zakhamon ke nishaanon se lahu tapka phir
tees seene mein koi phir se uthi shaam ke baad
rozi roti ki mashqat mein mera din guzra
pyaas aankhon ki kitaabon se bujhi shaam ke baad
jo sunaati thi sadaqat ki kahaani dinbhar
us haveli se koi cheekh uthi shaam ke baad
phir wahi dard wahi ashk wahi tanhaai
dil se nikli thi koi aah dabii shaam ke baad
laut aayi theen sataane ka iraada karke
phir se yaadon se meri jang chhidi shaam ke baad
एक खिड़की थी दिखी मुझको खुली शाम के बाद
याद आई थी क़सम कल भी तेरी शाम के बाद
शेर आया ही नहीं कोई ज़बांँ पर मेरा
सिर्फ़ तेरी ही ग़ज़ल मैंने पढ़ी शाम के बाद
याद आई थी अचानक ही मुझे बच्चों की
एक चिड़िया जो कहीं छत पे गिरी शाम के बाद
जाने कितने ही मनाज़िर थे मेरी नज़रों में
बाद मुद्दत जो तेरी बात चली शाम के बाद
याद आया था मुझे फिर से किसी का वादा
नींद आंँखों की मेरी फिर से उड़ी शाम के बाद
सूखे ज़ख़्मों के निशानों से लहू टपका फिर
टीस सीने में कोई फिर से उठी शाम के बाद
रोज़ी रोटी की मशक़्क़त में मेरा दिन गुज़रा
प्यास आंँखों की किताबों से बुझी शाम के बाद
जो सुनाती थी सदाक़त की कहानी दिनभर
उस हवेली से कोई चीख़ उठी शाम के बाद
फिर वही दर्द वही अश्क वही तन्हाई
दिल से निकली थी कोई आह दबी शाम के बाद
लौट आई थीं सताने का इरादा करके
फिर से यादों से मेरी जंग छिड़ी शाम के बाद
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Nazar Dwivedi
our suggestion based on Nazar Dwivedi
As you were reading Dushman Shayari Shayari