ghada gunaah ka ik roz bharne waala tha
sanwar chuka tha vo shaayad bikharna waala tha
yaqeen tumne bhi achha nahin kiya us par
vo apni baat se ik din mukarne waala tha
kamaal ye hai ki zinda main bach gaya kaise
main apni maut se pehle hi marne waala tha
baghair eed ke kaise dikha achaanak ye
falak se chaand to kal shab utarne waala tha
na jaane kaise iraada badal diya usne
mera vujood jo mismar karne waala tha
tumhaari yaadon ne us ko haraa kiya aa kar
jigar ka zakham ye jab-jab bhi bharne waala tha
zabaan talkh hai usko pata to tha lekin
naseehaton se vo kaise sudharne waala tha
mere naseeb ne mujhko daga diya tab-tab
safar ke baad main jab bhi thehrne waala tha
kisi ajeeb si uljhan mein pad gaya vo tab
hamaari peeth pe jab vaar karne waala tha
adoo ki baaton mein aata nahin agar tu to
teri nigaah se main kab utarne waala tha
घड़ा गुनाह का इक रोज़ भरने वाला था
सँवर चुका था वो शायद बिखरने वाला था
यक़ीन तुमने भी अच्छा नहीं किया उस पर
वो अपनी बात से इक दिन मुकरने वाला था
कमाल ये है कि ज़िन्दा मैं बच गया कैसे
मैं अपनी मौत से पहले ही मरने वाला था
बग़ैर ईद के कैसे दिखा अचानक ये
फ़लक से चाँद तो कल शब उतरने वाला था
न जाने कैसे इरादा बदल दिया उसने
मेरा वजूद जो मिस्मार करने वाला था
तुम्हारी यादों ने उस को हरा किया आ कर
जिगर का ज़ख़्म ये जब-जब भी भरने वाला था
ज़बान तल्ख़ है उसको पता तो था लेकिन
नसीहतों से वो कैसे सुधरने वाला था
मेरे नसीब ने मुझको दग़ा दिया तब-तब
सफ़र के बाद मैं जब भी ठहरने वाला था
किसी अजीब सी उलझन में पड़ गया वो तब
हमारी पीठ पे जब वार करने वाला था
अदू की बातों में आता नहीं अगर तू तो
तेरी निगाह से मैं कब उतरने वाला था
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Nazar Dwivedi
our suggestion based on Nazar Dwivedi
As you were reading Kismat Shayari Shayari