kam vo deta bhi nahin aur ziyaada bhi nahin
yaani ghaata bhi nahin mujhko munaafa bhi nahin
qarz kiska mein chukaata hoon kai janmon se
chuk to jaata hai magar sar se utarta bhi nahin
tum jo kahte ho ki duniya mein hamaara kya hai
sirf daava hai magar haq to tumhaara bhi nahin
aaina saaf karo isko dobaara dekhoon
log kahte hain mera apna to chehra bhi nahin
aankhen rahti hain ujaalon ki talab mein lekin
mera dushman to haqeeqat mein andhera bhi nahin
saath rahte hain gunaahon ke ye kaale saaye
tumko lagta hai magar main to akela bhi nahin
khaak hone ka nazar dar tha kisi kone mein
so sulagta hi raha khud ko jalaya bhi nahin
कम वो देता भी नहीं और ज़ियादा भी नहीं
यानी घाटा भी नहीं मुझको मुनाफ़ा भी नहीं
क़र्ज़ किसका में चुकाता हूँ कई जन्मों से
चुक तो जाता है मगर सर से उतरता भी नहीं
तुम जो कहते हो कि दुनिया में हमारा क्या है
सिर्फ़ दावा है मगर हक़ तो तुम्हारा भी नहीं
आइना साफ़ करो इसको दुबारा देखूँ
लोग कहते हैं मेरा अपना तो चेहरा भी नहीं
आँखें रहती हैं उजालों की तलब में लेकिन
मेरा दुश्मन तो हक़ीक़त में अँधेरा भी नहीं
साथ रहते हैं गुनाहों के ये काले साए
तुमको लगता है मगर मैं तो अकेला भी नहीं
ख़ाक होने का 'नज़र' डर था किसी कोने में
सो सुलगता ही रहा ख़ुद को जलाया भी नहीं
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Nazar Dwivedi
our suggestion based on Nazar Dwivedi
As you were reading Raushni Shayari Shayari