jab bujhaane ko mujhe tez hawa aayi hai | जब बुझाने को मुझे तेज़ हवा आई है

  - Nazar Dwivedi

jab bujhaane ko mujhe tez hawa aayi hai
phir hifazat ko mere haq mein dua aayi hai

ab munaasib hai haya khud ki bachaaye rakhna
varna fitrat hi zamaane ki tamaashaai hai

haath uthte hi nahin sach ki gawaahi mein kabhi
ab to chuppi hi yahaan uski paziraai hai

aise logon se bhala haath milaate kyun ho
jinke seene mein jamee ab bhi wahi kaai hai

rab ne chhodaa hi nahin haath kabhi bhi mera
dil ki dhadkan hi meri usse shanaasaai hai

aaj aaya hai bichhadne ka ye mauqa shaayad
baad muddat jo meri zeest mujhe bhaai hai

bad-gumaani mein masarrat ki jiye jaata hoon
varna qismat mein kahaan waqt ki angdaai hai

jab bhi aati hai mere paas dapatta usko
gham to rishte mein masarrat ka bada bhaai hai

tum na poocho mere chehre ki udaasi ka sabab
log kahte hain nazar dard ki bharpai hai

जब बुझाने को मुझे तेज़ हवा आई है
फिर हिफ़ाज़त को मेरे हक़ में दुआ आई है

अब मुनासिब है हया ख़ुद की बचाए रखना
वरना फ़ितरत ही ज़माने की तमाशाई है

हाथ उठते ही नहीं सच की गवाही में कभी
अब तो चुप्पी ही यहांँ उसकी पज़ीराई है

ऐसे लोगों से भला हाथ मिलाते क्यों हो
जिनके सीने में जमी अब भी वही काई है

रब ने छोड़ा ही नहीं हाथ कभी भी मेरा
दिल की धड़कन ही मेरी उससे शनासाई है

आज आया है बिछड़ने का ये मौक़ा शायद
बाद मुद्दत जो मेरी ज़ीस्त मुझे भाई है

बद-गुमानी में मसर्रत की जिए जाता हूंँ
वरना क़िस्मत में कहांँ वक़्त की अंँगड़ाई है

जब भी आती है मेरे पास डपटता उसको
ग़म तो रिश्ते में मसर्रत का बड़ा भाई है

तुम न पूछो मेरे चेहरे की उदासी का सबब
लोग कहते हैं 'नज़र' दर्द की भरपाई है

  - Nazar Dwivedi

Dard Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Nazar Dwivedi

As you were reading Shayari by Nazar Dwivedi

Similar Writers

our suggestion based on Nazar Dwivedi

Similar Moods

As you were reading Dard Shayari Shayari