badi umeed se ham bhi usi qataar mein hain | बड़ी उमीद से हम भी उसी क़तार में हैं

  - Nazar Dwivedi

badi umeed se ham bhi usi qataar mein hain
tere to chaand sitaare bhi paasdaar mein hain

sikha rahe hain saleeqa hamein sadaqat ka
jo muddaton se gunaahon ke rozgaar mein hain

tamaam dost jo aaye hain sabko jaldi hai
chitaa mein aag lagaane ke intizaar mein hain

tumhein gila hai ki sapne rahe adhoore sab
hamaare khwaab to kab se hi regzaar mein hain

vo hai sukoon se jisko nahin koi matlab
museebatein to zamaane mein sirf pyaar mein hain

mita ke mujhko tasalli nahin habeebon ko
na jaane kaisi tabaahi ke intizaar mein hain

dara rahe the qayamat se jo hamein ab tak
suna hai ab vo adavat ke kaarobaar mein hain

बड़ी उमीद से हम भी उसी क़तार में हैं
तेरे तो चाँद सितारे भी पासदार में हैं

सिखा रहे हैं सलीक़ा हमें सदाक़त का
जो मुद्दतों से गुनाहों के रोज़गार में हैं

तमाम दोस्त जो आए हैं सबको जल्दी है
चिता में आग लगाने के इंतिज़ार में हैं

तुम्हें गिला है कि सपने रहे अधूरे सब
हमारे ख़्वाब तो कब से ही रेगज़ार में हैं

वो है सुकून से जिसको नहीं कोई मतलब
मुसीबतें तो ज़माने में सिर्फ़ प्यार में हैं

मिटा के मुझको तसल्ली नहीं हबीबों को
न जाने कैसी तबाही के इंतिज़ार में हैं

डरा रहे थे क़यामत से जो हमें अब तक
सुना है अब वो अदावत के कारोबार में हैं

  - Nazar Dwivedi

Sukoon Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Nazar Dwivedi

As you were reading Shayari by Nazar Dwivedi

Similar Writers

our suggestion based on Nazar Dwivedi

Similar Moods

As you were reading Sukoon Shayari Shayari